Pyaar Gam Ya Khushi complete

Post Reply
User avatar
rajababu
Pro Member
Posts: 2911
Joined: 29 Jan 2015 23:18

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by rajababu »

बहुत बहुत धन्यवाद

बढ़िया प्रस्तुति ……….. अगले अपडेट का इंतज़ार रहेगा
aakashwani007
Novice User
Posts: 219
Joined: 12 Mar 2018 16:11

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by aakashwani007 »

Update:- 163
Har pal ke ashk. Khusyon ke me khusi ka izhar karti to gum me uski dastan batati. Hai ajib ye aanshu kisi bhi pal me nikal aate ye aanshu.

Mrinal aur Sonal ka hona hi humare liye pura pariwar ke hone ke barabar tha. Kaphi der ho gaya aaye dono ko isliye Rahul ne un dono ko wapas laut jane ke liye kaha. Dono kabhi bhi humare pas se jana nahi chahti thi, lekin kuch majboori hi aisi thi, ki na chahte huye bhi unhe jana parta tha.

Dono ke jane ke baad fir sab doston ke sath sath chachu aur Aarif bhai ko bhi ye khushkhabri sunayi. Sab ne humre nanhi si aane wali jaan ke liye hume badhaeyan dene lage. Lekin kahte hai na jab bure waqt ka daur chalta hai to har khusi pal bhar ka mehmaan haoti hai. Wahi hamare sath hua.

Din ke 3pm baje jaan ko unki commandent leader ka phone aaya, emergency ke karan chuttiyan radd kar di gayi thi. Unhe jaldi se base par report karne ke order mile.

Ye kismat bhi kaise kaise khel khelti rahi thi, sam dhalte-dhalte chal diye apne farz ki ore, ek farz ko bhulate huye. Mere liye to ab rona, jaise aadat si ban gayi thi. Bas main roti huyi hi bidai di unhe. Is baar mere zid ke aage jhukna para aur unhone apne sath mujhe bhi railway station tak aane ka permission de diye.

Jab railway station jane ke liye nikle to chachu bhi hamare sath aaye, Rahul ne unhe khas mujhe wapas ghar tak le jane aur kuch apni baat karne ke liye bula liye the.

Hum jab plateform par the tab jaan ne mujhe gale lagate huye kahe.... "Pari ab tumhare sath do jindgiyan hai, rona aur udas mat hona ye din bhi gujar jayenge" fir chachu se kahte huye... "Chachu ab aap ke siwa Pari ko dekhne wala koi nahi, isliye Pari ka khyal rakhna ab aap ke upar hai."

Chachu... Rahul tum nischint hokar jao hum hain na yanha, tum sari chinta mujh par chhor kar cahle jao. Ye to meri beti hai, isliye iske dekhbhal ki chinta tum jara bhi nahi karo.

Rahul chale gaye, chachu bhi mujhe ghar pahuncha kar chale gaye aur jate jate bol gaye, jab padesani ho call kar dena , aur tabtak karti rahna jabtak phone na utha loon. Main bas haan me sir hila di aur jakar apne bistar par let gayi. Rahul ke jane ke baad to raat phir se kali aur tanha dikhne lagi.

Jindgi ek berang mausam ki tarah ho gayi, jisme koi bhaw nahi the. Bas thoda jo rang bhara tha wo humare bache ka tha bas usi ka khayal kar hamesa khush rahna tha.

Akeli thi ghar me, unhe gaye do din ho gaye the. Chachu aur chachi har aadhe, ek ghante par aate jate rahte the. Salma bhabhi bhi laut aayi thi, wo bhi roj aa jaya karti thi. Mrinal, Sonal ye dono to jaise mere dil ka haal janti ho, jab bhi akeli khud ko samjhti aa jaya karti thi.

Rahul ko gaye 4 din ho gaye the, din ke samay main apne mobile ko dekh rahi thi tabhi mujhe mom ki yaad aa gayi, unhone to kaha bhi tha "jald milne aaungi". Maine bhi call mom ko laga di....

"Kaisi hai meri bachi. Apna khayal to rakh rahi hai na"

"Mamma aap aane wali thi na usi ke bare me puchhne ke liye phone lagaya tha"

Kuch der mom khamosh rahi, main dobara puchhi unse ... "Kya hua mamma, aap chup kyon ho gayi"

"Pari, wo kya hai na .. Wo main .. Beta kaise kahoon tum se"

"Kya mamma, kya hai jo aap kah nahi pa rahi hain. Aap ne to khud kaha tha, kya hua, kuch to kahiye"

"Kya kahoon beta ! Tere papa nahi mane, bahut samjhane ki kosis ki par ......"

"Hammmm ! Koi bat nahi mamma, aap sab achhe hain bas hume chhor kar, koi baat nahi aap bhi kya kar sakti ho. Chalo rakhti hoon phone mujhe dr ke pass jana hai"

"Sun to Pari, Pari beta......."

Phone poori baat hone se pahle main cut kar di. Wanhi baith kar roti rahi. Main chidh chuki thi ab tang aa gayi thi apni faltu ki chahat se, sayad ye waqt bhi inthaan lekar ab thak chuka tha mujhe bhi ab shant ho jana chahiye.

Din gujarte gaye, maine ab akele jina sikh liya tha. Dhire dhire dard ko ander dabana sikh liya tha. Thodi si nafrat bhi pal li thi taki unki yad jab aay to bas nafrat ke liye aaye, taki afsos na rahe ki kyon nahi main apne pariwar ke sath hoon.

Chautha mahina chal raha tha. Pet me batlaw dikh raha tha. Kabhi kabhi main pyar se apne bachhe par hanth ferne ke liye apne pet par hanth fer deti. Ek pyara sa ehsaas dil me hota. Bas yahi to ek pyara ehsaas tha jo jivan ko khusiyon se bhar deta.

Unhi dino ek rat achank se mere pet me kaphi tej dard utha. Dr ne dard ki goli lene se mana kiya tha, isliye bina dr ki salah ke main kuch nahi kar sakti thi. Rat kaphi ho chuki thi fir bhi maine chachu ko phone laga di. Lagatar ghanti bajti rahi par chachu ne call nahi uthya.

Idhar mera dard mere sabr ka inthaan le raha tha. Dard ke mare main chatpata rahi thi aur poora badan pasina pasina ho gaya tha. Chachu ke taraf se jab koi respond nahi hua tab maine Aarif bhai ko call lagayi. Par unka mobile switch off aa raha tha.

Main kya karoon is muskil ghari me koi sun'ne wala nahi tha. Poori raat dard se tarapti rahi. Ek pal nahi so payi main, thik se kuch yad nahi par aakhri bar jab ghari par najar gayi thi tab 6am baj rahe the.


Kab soyi mujhe kuch yaad hi nahi. 12:30pm baje meri nind khuli, maine apni halat dekhi kisi badhal kam karne wali aurat ki tarah thi. Mujhe jo sabse pahle chinta huyi wo thi mere bache ki. Dard ab nahi tha lekin pet kuch bhari jaisa lag raha tha.

Jab uthi to himmat bhi jabaw de rahi thi. Kamjori pure badan me mehsus ho rahi thi. Jaldi se taiyar hokar akeli hi Dr ke pas pahunchi. Takriban 1 ghante bad mera no. aaya. Dr ko puri padesani batayi. Unhone kuch test likh kar diye, wanhi pas me janch ghar bhi tha, wanhi sare test hone ke liye de diye.

Test karwane ke baad dr ke pas wapas gayi unhe bata di, kal test report aayegi. Phir main unse salah lene lagi ki kal raat jaisa phir aaj na kanhi dard ho jay. Unhone kuch dawaeyan likh kar di aur boli jab tej dard ho tabhi lena ye goli, nahi to koi jaroorat nahi.

Main unse priscription lene ke baad apni jagah se jaise hi uthi dr ne mujhe tok diya .... "Kyon tum akeli hi aayi ho tumhare husband ya ghar se koi nahi aaya." ...... "Ji wo mujhe dard huyi to main bina bataye chali aayi"...... "Pagal ho kya tum, aise samay me apna nahi to kam se kam apne bache ka to khyal karo, hamesa kisi ke sath aayi karo" ...... "Soory madam, aage se khyal rakhoongi"

Main bahar nikalte hi apne khyalon me sochti huyi nikal gayi.....

"Kaun akele rahna chahta hai, par kya karoon itne din bite phir bhi sabki najron me main hi galat hun. Ab mujhe paun bhi kyon na pakrna pare, main apne bache ke liye wo bhi karoongi par ab main wanhi rahungi."

Main wapas aakar let gayi aur mann me apne vichar bana chuki thi ki aaj se mujhe apne sasural me hi rahna hai. Akeli rahi to uska sidha asar mere bache par ho sakta hai. Main sam hone ka intzar karne lagi aur aakar apne bistar par leti thi ...

Abhi aaram hi kar rahi thi ki ghar ka bell bajna shuru ho gaya, darwaje par chachi aur chachu khare the...

"Sorry Pari beta, actually kal raat ko phone silent tha isliye call receive nahi kar paye. Tum thik to ho na".

"Haan, mujhe thoda darr lag raha tha isliye phone kar di banki chinta ki koi baat nahi" ... Mere to kam ho gaya tha isliye phaltu me in dono ko apne bare me bata kar kyon guilty feel karne deti, isliye maine jhoot kah diya.

Chachi... Ohhhh ! Hota hai beta aise samay me kabhi kabhi bure sapne aate hain, sorry beta kal raat ke liye, ek kam kyon nahi karti tum raat ko wanhi aa jaya kar sone.

Main... Are nahi cahchi ji, mujhe koi padesani nahi, aap fikr nahi kare kuch hoga to main phone kar dungi. Fir yanha ek aap hi to hain.

Chachi.... Chal thik hai tu aaram kar main ab jati hun.

Chachu aur chachi ke chale jane ke baad main bhi thoda ghar ke kam me lag gayi. Sam huyi to apne soch ke anusar main sasural pahunchi. Har bar ki tarah aaj bhi hall me koi nahi dikha, main is bar bahar nahi sidhe hall me jakar baith gayi.

Kahani kuch aisi thi ki jab main bahar intzar karti thi tab ghar me koi log nazar nahi aate the siway ek-do naukar ke, aur wo bhi mujhe nazar andaj hi karte the. Ghanto intzar ke baad mummy ji nikal kar aati thi, aur khari-khoti suna kar chali jati.

Lekin aaj mere hall me bath ne ke 2 min me hi mummy ji pahunchi ....

"Dekho main tumse pahle bhi kayi bar kah chuki hun yanha mat aaya karo, tumhari haalat dekh kar main shant hun warna dhakke mar kar ghar se nikal deti"

"Mummy ji, aur kitne din tak naraj rahiye'ga. Main bhi usi haalat ka wasta deti hun mujhe yanha rahne dijiye. Main koi sikayat ka mauka nahi dungi. Aakhir aap bhi to dadi hi hain iski"

"Bari aayi, main aur iski dadi, sawal hi paida nahi hota. Tu ye kyon nahi kahti ki tujhe abhi sewa ki jaroorat hai, tujhe apne pet ke sath koi padesani nahi ho isliye tu hum sab ke sath rahna chahti hai. Main tujh jaisi chalu ladki ko achhe se janti hun"

"Mummy ji aap ko jo kahna ho kah lijiye jo samjhna hai samjh lijiye, lekin sach to yahi hai aisi haalt me mujhe aap sab ki bahut jaroorat hai, mera nahi kam se kam is bache ka khayal kijiye"

Meri baat sunkar mummy ji thodi sochne lagi, aur kuch sochte huye mujh se puchhne lagi....

"Kyon, tum apne papa ko phone ker deti. Unke pas itna paisa hai ki hum jaise logon ke line laga dete."

"Aap logon ke jaise wo bhi naraj hain mummy ji, is waqt bhi sab narajgi dikhaoge, kuch to taras khao meri haalat par"

"Bikh kyon mang rahi hai, jo jaisa karta hai usko waisa hi fal milta hai. Tu meri najron me aaj bhi wahi hai jo kal thi. Tujhe bura-bhla kah kar main apni juban gandi nahi kar sakti. Jo apne maa baap ki nahi huyi wo humari kya hogi. Tum apna aasra kanhi aur dhoond lo is ghar me tumhare liye koi jagah nahi"

Roti main, mere aanshu thamne ke naam nahi le rahe the. Kisi tarah khud me himmat juta'te huyi boli.....

"Sab ko aaj apni pari hai koi mera nahi hua. Kisi ne mere bache ke bare me nahi socha ab main bhi kewal apne liye hi sochun'gi. Jitna aap sab ne mujhe rulaya hai dekhna us se jyada ek din aap pachtaoge".

Bas ek faisle ke sath nikli main wanha se .... "Poori huyi kosis. Ab koi baat nahi hogi. Main unke liye pahle se mar gayi thi aaj humare liye wo. Ji lungi bas main bhi ab apne jaan ke sath, un logon ke sath jinhe meri fikr hoti hai.

Us din ke baad main fir pichhe mur kar nahi dekhi, din bit'te chle gaye. Main bas aane wale kal ke liye khush thi. Esi khusi ko char chand tab lag gaye jab jaan chutti lekar wapas yanha aa rahe the.

Aathwa mahina chal raha tha jab jaan yanha pahunche. November last week ki delivary date thi. Unke aane se aisa lag raha tha jaise pariwar poora ho gaya ho. Ab to koi malal bhi nahi tha ki koi hai ya nahi hai hamare sath.

Rahul pahunchte hi mujh se milne ke baad ghar ke bare me puchhne lage, ki kisi ne intrest dikhaya ki nahi humare is nanhe se jaan ke liye. Main man hi sochne lagi, "humare marne jine se ab unhe koi fark nahi parta Rahul isliye ab aap bhi iss bat ko bhul jaeye, unhe yaad kar bas dard hi milega"........
aakashwani007
Novice User
Posts: 219
Joined: 12 Mar 2018 16:11

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by aakashwani007 »

Update:- 164

Rahul pahunchte hi mujh se milne ke baad ghar ke bare me puchhne lage, ki kisi ne intrest dikhaya ki nahi humare is nanhe se jaan ke liye. Main man hi sochne lagi, "humare marne jine se ab unhe koi fark nahi parta Rahul isliye ab aap bhi iss bat ko bhul jaeye, unhe yaad kar bas dard hi milega"


"Pariiiii, kaun se khaylon me khoyi huyi ho"

"Kuch nahi jaan, main to apni haalat ki wajah se fail ho gayi. Ab sab aap ke upar hi hai"

"Nahi Pari, safalta aur asaflta to hote rahte hain, jaroorat hai to bas hum apna kam poori imandari aur dil se karte rahe"

"Hammmm ! Sach kahe jaan, waise ek kam par to dhyan hi nahi diya aap ne"

"Kaun sa kaam Pari"

"Mujh par aur kis par jaan"

"Ha ha ha ! Ab main fursat, tumhara nanha mehman ab sara kam dekh lega. Pahle kuch sal tum ise dekhna, fir jab bara hoga/hogi, jo bhi ho, to tumhara dhyan rakhega"

"Oh ! To aap apni jimmedariyon se bhagna chah rahe hain"

"Achha, aisa kah diya maine kya ? Chalo manph karo baba, ab ye batao aaj tum dono kya khana pasand karoge"

"Kuch bhi jo aap ki marji ho, main bhi to dekhoon ki aap khane me kya pakate ho"

Jaan chal diye kitchen ki taraph aur main aaram karne lagi. Raat ka dinner ready tha.....

"Oh hooo ! Aaloo ke parathe kya baat hai, aur ye kya ? Rajma, pulao. Jaan aap na retirement ke baad restro kholna, dekhna log ungliyan chaba kar khayenge"

"Lo fir to chal gaya restro, jab logon ke pas ungliyan hi nahi rahegi to khayen'ge kya"

Chhoti-chhoti baten aur dher sara pyar, apno ke sath bitaye pal ka maza hi kuch aur hota hai. Teen din baad dashara shuru hua humne bhi badi shraddha ke sath devi maa ki pritima ko asthapit kiya apne ghar me.

Apni-apni dharnayen bhi thi dashare ke samay ki. Pooja shuru hone ke pahle hi chachi mana kar chuki thi mujhe kanhi bahar na nikalne ke liye poore dus din. Khair, rudhiwadiyon ko to nahi manti main, lekin phir bhi unhe bol di ki kosis karoongi.

Poora din jaan sath me hote, meri har chhoti-bari jaroorton ko poora karte huye. Devi-maa ki kripa se sabkuch bilkul sahi chal raha tha. Panchami ka din tha, jaan jab se aaye the kewal mere pas hi pas rahte, ek pal ke liye unhone akela mujhe nahi chhora tha. Ussi sam meri zid ki wajah se hum ghumne nikle.

Sahar me kayi jagah, bare bare pandalon me murtiyan asthapit ki gayi thi. Hum kaphi der tak ghume raat ko bahar dinner ker ke hi wapas laute. Kaphi thak gayi thi isliye subah der se nind khuli.

Aankh khuli to chehre par muskan aa gayi thi. Table per ek note para tha.....

"Uth gayi, chalo ab dhyan rakhna apna. Sara kam ho chuka hai. Tum aaram se nasta ker lena, main bhi jara mom-dad se mil ker aaya. Aaj sayad devi-maa ki kripa rahi to kuch na kuch achha hi hoga. Love you, take care"

Main unka note padhne ke baad muskurati huyi bas man me me yahi sochne lagi... "Ye bhi na"
Main nasta karne ke baad bistar per leti tv dekh rahi thi, Tabhi achanak Salma bhabhi subah-subah ghar aayi...

"Aaj itni subah bhabhi, kya hua Aarif bhai se jhagar kar aa rahi hain kya"

"Hehe, kya bol rahi ho Pari. Aisi koi bat nahi hai bas sochi mil lun tumse isliye aa gayi. Waise kaho to chali jaun, kyonki jab se Rahul aaya hai tab se to ek call bhi nahi ki ho"

"Sach me aisa kiya kya maine bhabhi, agar aisa hua hai to bhi ignore karo, kitne dino baad aate hain wo, aur aap hain ki is baat ko lekar subah subah mujh se jhagra karne chali aayi"

"Tum se bahas hi kyon ker rahi hun. Rahul bhaiyya kanha hain"

"Wo thoda ghumne nikle hain abhi aa jayenge"

Hum dono lady ki chit-chat jab shuru huyi to hum mohlle se lekar tv, aur tv se lekar desh duniya sare hi topic par bina ruke discussion karte hi rahe. Hum apni baat chit me magan the tabhi Rahul ke chillane se hum chaunk gaye ...

"Pari tumhari himmat kaise huyi aisa kahne ki"

Maine pahli bar Rahul ko itne gusse me dekh rahi thi, hum dono to bilkul aschrya se unhe hi dekh rahi thi aur dimag me ki aakhir hua kya...

Salma bhabhi .... Kya ho gaya.

Rahul.... Kuch nahi Salma bhabhi, main nahi rahta to iske jo mann me aaye wo karegi kya ?

Main..... Par aisa kya kar diya maine jo aap itne gusse me hain ?

Mera bolna sayad Rahul ho achha nahi laga aur gusse me aakar unhone mujhe ek thappar mar diye. Kaphi jor se laga wo, kuch pal ke liye to andhera sa laga aage. Itni jor se mare the ki Salma bhabhi ke muh se aah nikal gayi.

Salma bhabhi bilkul apni aankhen bari karti hue Rahul se kahne lagi ...

"Pagal to nahi ho gaye kya ? Tumhe sharam aati hai ki nahi, aisi haalat me tumhri himmat kaise huyi Pari ke marne ki"

Rahul.... Bhabhi aap nahi janti isne kya kiya hai. Isne wo kar diya jo maine kabhi socha bhi nahi tha.

Main.... Bhabhi hat jaeye aap samne se, bol lene dijiye, main bhi to sun lun ki kya aisa kya ker diya maine. Jaan btaeye baat kya hai ?

Mujhe rote huye jab jaan ne gusse me kahte suna to unka temper bhi thoda sa low hua.... "Pari, tum hoti kaun ho mom se kahne wali ki wo pachtayengi, aur unka bura hoga. Tum soch bhi kase sakti ho pagal.

Main.... Kyon na kahun jaan, raat bhar dard se chhatpatati rahi mujhe dekhne wala koi nahi tha, kaise dard me puri raat bitayi main hi janta hun. Itne dino tak kosis karti rahi, sab apna le hume. Lekin kissi ne palat kar dekha tak nahi. Kyon na kahti jaan, meri haalat par bhi daya nahi aaya, paun tak pakre maine phir bhi daya nahi aayi unko.

"Aap mujhe bhale hi kaat do mujhe koi gum nahi, par maine jo kiya uaka bhi mujhe koi afsos nahi"

Pata nahi kyon par aaj main bhi kaphi gusse me thi. Aur gusse me bahut kuch bol gayi unhe. Rahul meri baton ka koi jabaw nahi diye, bas gusse me bahar jane lage.

Main unhe gusse me jate dekh bardast nahi kar payi, main bahut teji se uthne ki kosis me thi, par Salma bhabhi ko jaise hi laga ki main kuch aisa karne wali hun, unhone kandhe ko pakra aur mujhe shant karne lagi ....

"Pari, bewkuf ye tum kya kar rahi ho, baithi raho apni jagah. Abhi gusse me gaya hai jab gussa thanda hoga to wapas aa jayega"

"Lekin Salma bhabhi wo kitne gusse me the. Please unhe rok lijiye"

"Achha tu shant baith aur rona band ker, main inko phone ker deti hun wo Rahul ko samjha ker wapas le aayenge"

Salma bhabhi ne turant Aarif bhai ko phone lagayi. Phir lagatar wo mujhe samjhane ki kosis karti rahi "pariwar me kabhi kabhi aise halaat ho jate hai. Thande dimag se kaam liya karo. Pati jab gusse me ho to shant rahna chahiye, baad me jab gussa shant ho jaye phir samjhana chahiye"

Main bhi apna paksh rakhti huyi boli... "Bhabhi main kya karoon, maine itni minnate ki, paun tak pakre unko ye Rahul ko najar nahi aaya par gusse me jara bol kya di, to naraj ho gaye. Mummy ji ko ye nahi kah hua ki unhone mere sath kya kiya. Hamesa sab mujhe hi galat sabit kar dete hai"

"Main sab janti hun Pari, lekin aapas me khincha-tani se kya koi hal nikalna hai, ulta baat aur badh jayegi. Ab shant rah thoda sa Rahul aa jayega"

Baat koi bhi ho par wo gaye itne gusse me the ki mujhe ab khud par afsos ho raha tha, ki kyon main itna bol gayi, kyon shant na rah saki ?

Subah se dopahar ho gayi par koi khabar nahi aayi. 3pm baje ke karib Aarif bhai aaye aur unhone Salma bhabhi ko chay banane ko bolkar mere pas baith gaye....

"Pari, chinta chhoro Rahul thoda gusse me tha, isliye itna bol gaya"

"Aarif bhai aap mile kya unse"

"Haan mil liya, afsos jata raha tha bechara, kah raha tha 'main janta hun Aarif bhai jaroor koi badi baat thi tabhi Pari aisa bol gayi, nahi to wo kabhi aisa nahi kahti. Lekin gussa mujhe iss baat ka hai ki wo meri Pari hai, use khud par thoda kabu rakhna tha, aur yahi baat soch kar sayad main gusse me aa gaya, upar se mom jab batayi ki aisa aisa bol gayi hai tumhari Pari, to main mom ko to nahi suna saka lekin jispar haq tha use suna diya. Par mujhe hanth nahi uthana chahiye tha, mujhe behad afsos ho raha hai, kaun sa muh lekar jaun Pari ke pas'."

"Main bhi kitni badi duffer hun, sorry to mujhe kahna chahiye tha, wo kya soch rahe the aur main kya samajh baithi"

"Koi baat nahi hai Pari, tum abhi to bilkull bhi padesan na ho, aur haan Rahul ne kaha hai teen din baad lautega, use chadigarh army base par kuch kam hai niptakar jald wapas aayega"

"Kya ????? Had hai inki naukari bhi, chutti me bhi kaam karwati hai"

"Pari kah to bol dun ki abhi humari Pari ko uske jaan ke siwa kuch nahi sujh raha, isliye tum mat jao kanhi"

"Are nahi, nahi unko jane dijiye, waise bhi aaj jo kuch bhi ho raha hai sab meri wajah se hi hai, unko rok ker aur jyada padesan nahi kijiye"

Itne me salma bhabhi chay lekar aa gayi, hum teeno hi chay ki chuskiyon ke sath baat karne lage. Dono mujhe gristh jivan ke bare me samjhate rahe aur main sunti rahi. Chay khatam hone ke baad aarif bhai Salma bhabhi ko mere hi kuch din rukne ka bol kar chale gaye.

Halanki main lagatar Arrif bhai se kahti rahi mujhe kisi ki jaroorat nahi, lekin phir bhi unhone meri ek nahi suni aur Salma bhabhi ko mere pas chhor kar chale gaye. Jate jate unhone Salma bhabhi se kuch kaha, bara hi ajib tha dono ka apas me baat karna, Aarif bhai se baat karte samay Salma bhabhi ka chehra pura utar gaya. Main jigyasa wash puchh baithi ....

"Kya hua koi chinta ki baat hai kya"

Salma bhabhi.... Nahi Pari koi chinta ki baat nahi hai, bas inhone jo nayi company join ki hai wanha se bahut padesaniyan ho rahi hai.

Salma bhabhi ki baat sunkar mera bhi chehra utar gaya. Uske baad main bhi kuch nahi puchhi aur apni baten poori kar Aarif bhai chale gaye. Yun to Aarif bhai 3 din me hi jaan ki wapsi ka kah kar gaye the Aarif bhai puri pooja samapti ho gayi. Hafta bit gaye na to Aarif bhai us din ke baad laute aur na hi unki koi khabar aayi.


Aathwa din tha, meri najar akhbar pe gayi, meri to dharkane ruk gayi, itna bari baat Aarif bhai aur Salma bhabhi ne ab tak chhipaye rakhi. Tabhi itne dino se Salma bhabhi yanha thi aur ja nahi rahi thi. Main chillayi .... "Bahabhi ... Bhabhi .... Bhaaaabhiiiiii"
aakashwani007
Novice User
Posts: 219
Joined: 12 Mar 2018 16:11

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by aakashwani007 »

Update:- 165


Aathwa din tha, meri najar akhbar pe gayi, meri to dharkane ruk gayi, itna bari baat Aarif bhai aur Salma bhabhi ne ab tak chhipaye rakhi. Tabhi itne dino se Salma bhabhi yanha thi aur ja nahi rahi thi. Main chillayi .... "Bahabhi ... Bhabhi .... Bhaaaabhiiiiii"

Salma Bhabhi..... Pari, kya hua....... Kya baat ho gayi. Tum itna tej chillayi kyon, kya ho gaya ?

Main.... Kyon bhabhi aap sab mujh se kyon jhoot bolte rahe, ye dekhooo ! Batao ye sab kya hai.

Salma Bhabhi.... Pari, shant ho jao.

Main..... Bhabhi aap kaisi baten ker rahi hain, aap samajh bhi rahi hain ki aap kya bol rahi hain. Hatiye aap, main koi bhi baat nahi sun'na chahti. Kismat me na jane aur kaun kaun se din dekhne banki hain. Main hi mar kyon nahi jati. Main mar kyon nahi jati. Na jane aur kya kya din zindgi dikhayegi.

Salma bhabhi.... Tu apni is haalat me jana chahti hai to chali ja, par kya Rahul tujh se kabhi najar mila payega jab tu use jail me dekhe'gi. Tum shant ho jao, iss samay Rahul ko tumhari sabse jyada jaroorat hogi, Rahul ne hi mana kiya tha tum se ye baat chhipayi jaye. Wo nahi chahta tha ki kabhi tum use aisi haalat me dekho. Jao chali jao, gira do usse khud ki hi najron me"

Main.... Main kya karoon bhabhi, main kya karoon

Salma bhabhi.... Shant ho jao Pari, Rahul ki jamanat aaj ho jayegi, tum aise dikhana jaise tumhe kuch pata hi nahi. Wo khud tumhe batyega sari baat.

Kismat bhi kya ajeeb khel rach rahi thi, unpar public voilence, marpit aur pata nahi na jane kya kya charge me ander ker rakha tha. Pata nahi ye sab kya ho raha tha. Ek to ye maut aati nahi aur zindgi padesani dene me koi kasar chhorti hi nahi. Kaise khud ko shant karoon.

Salma bhabhi ki baat sach huyi, 3pm baje tak jaan bhi laut aaye, unhe dekh pane ki himmat nahi ho rahi thi, na jane kya hua tha, kyon hua tha kuch pata nahi. Par dil ko bas itna pata tha ki jaan par koi bahut bari musibat aayi thi.

Wo jab se aaye bas shant khare the. Mujme itni himmat nahi thi ki main najren mila sakoon, aur jab se jaan aaye the gusum bas hall me baithe huye the. Salma bhabhi bhi Aarif bhai ke sath ja chuki thi aur poore ghar me matam sa chhaya tha.

Mujhe laga jaan meri chuppi se kanhi ye na samjhe ki main kuch bhi janti hun isliye main hi bol pari ..... "Aji sunte ho, jara idhar to aaeye kayi din huye aap ki soorat dekhe, jara jhalak to dikhate jaeye"

Meri baton ka koi jabaw nahi diya Rahul ne bas dhime-dhime meri ore aane lage... "Kya hua Rahul aap aise shant shant kyon hai, dekho aap ka bacha bhi aaj kitna shant dikh raha hai"

Rahul ab bhi kuch nahi bole, bas mere pas aakar khare ho gaye. Unke shant chehre par dard saaf najar aa raha tha, ek najar unhone mujhe dekha, phir ghutno par baith'te hue mere pet par ek bar hanth fere aur use chumte huye rone lage.

Kitna dard tha unke ander, jo aaj ek trained fauzi ke aankhon se aanshu la diye. Maine unka chehara apne hathon me tham uske anshu pochhe, aur apne pas bitha unhe gale se laga liye. Jaise lag raha tha wo kisi sukoon me hai, kaphi der tak mere sine se lage rahe, phir khud ko alag karte huye kahne lage ....

"Sab kuch khatam ho gaya Pari. Sab kuch khatam. Main tumhe koi sukh nahi de paya"

"Jaan aap ye kya bol rahe hain, mera sab kuch to aap hi hain, aap hi himmat har jaen'ge to phir hum dono ka kya hoga"

"Pari mere sare arman mitti me mil gaye, main toot gaya Pari, aisa lag raha hai jaise zindgi gali si lag rahi ho"

"Rahul aap aisa sochenge to mera kya hoga, muskilen kitni bhi bari kyon na ho, hum milkar us ka bhi samna ker lenge"

"Maloom hai Pari, ek fauzi ka sina kab chaura hota hai, jab use koi maddel mile. Aur janti ho maut se bhi badh kaun si saza hoti hai, jab uska court-martial ho"

"Kyaaaaa ??????????? "

"Haan Pari, mujhe maut se bhi badh kar saza mili. Pari, us din jab main yanha se nikla to kaphi gusse me tha, khud se chidh hone lagi thi, main samajh nahi pa raha tha ki main kya karoon. Mujhe Aarif bhai mile, unhone mujh se baat ki, mujhe kaphi feel ho rahs tha, ki baat jo bhi ho maine hanth kyon uthaya"

"Itne me maine dekha ek policewala kisi couple ke sath badtamiji ker raha tha. Main Aarif bhai se baat bhi kar raha tha aur sab dekh bhi raha tha. Bechara wo husband apni patni ke samne jalil ho raha tha aur aisa laga jaise ashay wo kuch nahi ker pa raha ho"

"Mujh se bardast nahi hua aur maine us police wale ko kandhe se pakar kar side ker diya. Inki to zuban hi gandi hoti hai, wo police wale mujh se gali se baat karne laga. Gussa to pahle se tha phir bhi use bahut samjhane ki kosis ki, lekin wo baat kam aur gali jyada de raha tha, mujh se bardast nahi hua aur maine uski bhare market me pitai ker di"

"Mujh per usne kayi charges lagaye, mamla yanhi chandigarh defence office me gaya, aur sabse badi baat maloom hai Pari kya hua, jin dono ke liye main gaya wo dono gayab hi ho gaye phir dikhe hi nahi, natija ye hua ki mujh par ek on duty governent personnel ko marne ka charge, mentally sick, public violence. ka charge laga ker mujhe......."

"Mujhe under the act of IPC se saja ke liye bhej diya gaya. Yadi Aarif bhai na hote to pata nahi kya hota. Unhone hi poori bhag daur ki aur mera bail karwaya, mujhe manph ker do Pari main fail ho gaya"

"Offf hoo ! Ab aap yahi baton ke liye padesan honge ya phir aage ka soche. Jo bit gaya jaan use bura sapna samjh ker bhool jao"

Jaan bilkul gumsum mere pas baithe rahe. Unka dard unke chehre se saf jhalak raha tha. Sam tak Aarif bhai bhi aa gaye sath me chachu bhi aaye the. Hum logon se mile kuch der baten kiye aur chale gaye.

Jaan bilkul mayus sam ko ghar se nikle ye kah ker aata hun thodi der me, maine unki haalat dekhti huyi kuch na puchhi, jab wo laute to larkhrate huye laute. Ye Rahul nahi larkhara rahe the humare bure waqt ki had karkhra rahi thi, jo humari jindgiyon ko maut se badtar saza de rahi thi. Ek ke baad ek, bura daur thamne ka naam hi nahi le raha tha.

Jaan ko toot'te main apni aankhon ke samne dekh rahi thi, aur main kuch ker bhi nahi pa rahi thi. Aur kitna sahna mere nasib ne tha. Har roj ek badtar zindgi dekhne ko mil rahi thi....

Unki halat itni kharab thi ki wo thik se chal bhi nahi pa rahe the. Main uth kar unhe sambhalne gayi ho thi, ki ek gunj Rahul ke awaz ki gunji ....

"Tum kanha uth kar chali aa rahi ho Pari, ye dekhne ki main jinda hun ya mar gaya, meet Cap. Rahul Sinha, jo ab nakara hai. Aao tum bhi dekh lo mujhe, main tumhara nakara pati. Bahut pyar karti ho na Pari mujh se ek kam karogi, mujhe thoda zehar de do, iss bojh ke sath main nahi ji sakta. Gali ki tarah aatma par laga hai ye court-martial"

Ajib kas-m-kas me raat biti. Main siwas rone ke kuch bol bhi nahi pa rahi thi. Main asahaay thi aur Rahul lachar, aur humara koi sahara bhi nahi.

Subah chachu ka phone aaya, unhone jaan ko bataya ki bail karane me ₹10 lac ka kharch aaya tha, jo sabko manage karne me diya unlogon ne. Itne salon me aaj pahli baar paisa kya hota hai hum ne jana. Aarif bhai aur Chachu ne jo apne pas se kuch deposit kiye the unhe chhor ker filhaal ₹6 lack ka arrange karne ko kahe, jo unhone humare liye logon se liye the.

Jaan bilkul apne mathe par hanth dal kar baithe the, ek to pahle se wo itne padesan the upar se ye paise ki padesani, main unke pas khari hokar unke kandhe par hanth rakhti huyi.....

"Jaan aap kyon itna padesan hai, aise padesan hone se koi hal nahi nikalne wala"

Unhone ek bar apna sir utha ker dekha aur meri kamar se lipat'te huye bari hi dard bahri awaz me kahne lage ....

"Pari kya ye aaj tak jo hum achhe kaam karte aaye hain, kya ye uski saza mil rahi hai"

"Jaan yaad hai aap ne ek bar apni chitthi me likha tha, jine wale dard ka samndar lekar jite hain, phir humari padesani to kuch bhi nahi. Aur aaj aap hi is tarah se toot rahe hain. Aap hi agar aise himmat har jayenge to hum dono ka kya hoga"

"To kya karoon Pari, mujhe to kuch samjh me hi nahi aa raha"

"Jaan ek kaam kijiye, ye mina kumari ki tarah sad look dene se achha hai, madhuri ki tarah smily look me aaeye. Sab se pahle to unka sochiye jinhone humari madad ki hai"

"Hammmm ! Kanha se tum me itni himmat aayi Pari. Sorry main bahut jyada hi niras ho gaya hun. Par ab nahi. Sahi kahi pahle un dono ke paison ka intzam karta hun, lekin sab total mila kar to ₹60K se jyada paise hai hi nahi. Aur ise bhi de diya to phir aane wale samay me kya karenge"

"Good question jaan ! Kuch bhi ho pahle main, khabardar jo un ₹60K ko aap ne hath lagaya to"

"Haynnn ! Pari meri cuteee, tum ye batao ki tumhare dimag me kya chal raha hai"

"Kuch bhi to nahi, ab bhala hume car ki kya jaroorat. Aur Mr. Topper abhi kuch dino ki hi to bast hai, aap ko koi na koi achha job to milna hi hai, to ye jo jewar kuch pare hain unka kya exibition lagayenge. Sabko bech dalo aur sara paisa collect ker lo, aur unhe de do."

"Lekin Pari ye to ......"

"Aanhhhhh ! Ab jaldi jao'ge laut ker khana bhi bana'na hai aap ko"

"Ha ha ha ! Yesss madam ji, jaisa aap kahen aap ka gulam aap ki baat ko kaise tal sakta hai"

Jaan ke chehre par aayi hansi ne mere dil ko ek asim si rahat di, 5pm baje tak jaan sara cash lekar wapas laute. Lekin total me ab bhi ₹1 lac kam tha. Jaan thode se mayus dikhe per main unse apni baat rakhte huye boli .... "Jaan phone ker ke dono ko aap bula lo aur de do paise, wo apni majboori samjh jayenge.

Jaan ne thik waisa hi kiya, ₹50K dono ko kam diye, per kisi ne kuch nahi kaha aur wo paise lekar wapas chale gaye. Bahri samsya ka nidan to hi gaya, per ander se joojhti zindgi aur dil ke dard ka koi ilaj ab tak nahi tha.

Sayad wo mujh se chhipa to rahe the par chehre par unka dard saf chhapa hota. Wo dard jo main unki hansi me bhi mahsoos kerti. Waqt ne humare zakhmo par koi marham to nahi lagaya per aane wala har samay ek naye zakham de jaroor jata.

Jab Rahul ko dard bardast nahi hota to wo pine baith jate. Kaphi chhipate mujh se ki mujhe pata na chale, per wo to meri jaan the bhala kaise na pata chalta. October ke aakhri hafte me Aarif bhai ki madad se unko kaam bhi mil gaya. ₹20K ki naukri thi, aur office ka kaam, lekin filhaal guzara ke liye kaphi tha.

Dhire dhire samay bit'ta gaya aur mere delievary ki date bhi najdik aati gayi. Issi november ke mahine me meri delievary thi. Jaise jaise din najdik aa rahe the, hum apne sari padesaniyon ko darkinar kerte huye, bas aane wale ke liye kaphi excited aur khush the.
aakashwani007
Novice User
Posts: 219
Joined: 12 Mar 2018 16:11

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by aakashwani007 »

Update:- 166
Gujre waqt ne khusiyan kam aur gum jyada likhe the, par hum bhi un gumon ko angutha dikhate huye chhoti-chhoti chijon me khusiyan dhoond hi lete the. Deepawali ka tyohar tha, hum kaphi khusi se uski taiyari kar rahe the. Kuch din bit chuke the, life humari ab thodi noramal si huyi thi.

Jaan ne poora ghar saja diya. Mrinal aur Sonal ko bula kar sab ke diwali ka advance gift bhi ghar bhijwa diye the. Mera aakhri mahina chal raha tha isliye main kuch bhi madad nahi ker pa rahi thi jaan ki, haan bich-bich me unki tang jaroor khinch deti thi, ye yanha mat lagao, ese yanha lagane se achha hai wanha lagao. Rahul bhi meri baton par muskurate huye bas sabko waise hi arrange karte jaisa main kahti.

Deewali ki raat thi, ye haar ki jit par raat thi, diyon aur jagmati rausni ki raat thi, ek khusiyon ke sandes si raat thi, janha pura pariwar milkar deewali manate the. Lekin ye humare liye kali andheri raat thi.

Us din ke baad phir kabhi deewali mere liye raushni lekar nahi aayi. Sam ke 6pm baj gaye the, thand ka samay tha andhera jaldi ho gaya tha. Jaan bahar diya jala rahe the, bache bahar patakhe jala kar sam ka swagat ker rahe the.

Jag-mag raushni se sam saj rahi thi, tabhi achanak kisi ka jalaya ek rocket sidha humare ghar ke ander aa ker foota. Rahul bahar the unhe pata bhi na chala ghar ke ander kya hua. Rocket khidki ke parde ke pas phooti. Dekhte dhekhte parde me aag lag gayi.

Main jab ye dekhi to apni jagah se harbara ker uthi, aur hall ke ore aag bujhane aayi. Niche farsh par tel bikhra tha, aage kanch ki glass rakhi thi jisme sayad tel tha diye me dalne ke liye.

Achanak se mera paun farsh par bikhre tel par para, mera santulan bigra, aur main dham se pet ke bal sidhe glass ke upar giri. Aur dard ki wo chinkh .... Aaunnnnnnnn ! Maaaaaaaa

Dard ka wo lamha yad ker ke aaj bhi meri ruh kaanp jati hai. Mere behosh hone se pahle tak bas itna dhyan hai ki Rahul bhagte huye ghar ke ander pahunche, aur aankh jab khuli to main hospital me thi.

Par mere behosh hone se pahle aur aankh khulne ke bich meri puri duniya uzar chuki thi. Mere pas kuch bhi nahi bacha tha. Mera sansar bikhar gaya tha.

Aankh jab khuli tab Salma bhabhi, Chachi, Sonal aur Mrinal mere pas thi aur koi bhi nazar nahi aa raha tha. Bechain najron me kayi sare sawal the aur main uska jabaw jan'ne ki lalsa me un se puchh baithi ....

"Mera baccha kanha hai, Rahul kanha hai"

Mera sawal sun ker sab maun vart dharan kar liye, matam sa sannata chhaya tha wanha per, unke chehre se saf pata chal raha tha ki kuch aisa hua hai jise batane se sab hichak rahi hain. Chinta ki sikan mere mathe per fail gayi.....

"Aap sab batate kyon nahi kanha hai mera baccha, Rahul kanha hai"

Main lagatr roye ja rahi thi aur unse puchhe ja rahi thi, tabhi ek nurse aayi aur sabko danti huyi bolne lagi ...... "Aap sab ko bola tha na ki patient ke hosh aate hi hume khabar kariye, aur yanha aap sab itni bhir kyon laga rakhi hai, chaliye uthi'ye jaeye yanha se"

Main.... Sister inhe rahne dijiye na, aur mera baccha kanha hai.

Ek vyakul maa ka mann apne bache ko dekhne ke liye bilkul chhatpta raha tha aur yanha koi sun'ne wala hi nhi tha mera.

Nurse.... Aap ka bacche ko neo ward me rakha gaya hai, kal tak aap ke pas hoga.

Main.... Ltekin usse to mere pas hona chahiye na.

Nurse... Padhi likhi hokar aisa sawal kar rahi hain, yanha usse infection ho jata, waise bhi aap ki haalat abhi thik nahi huyi hai, chalye dawa le lijiye.

Nurse ki baat sun ker phir main kuch nahi boli, usne kuch dawayan di aur ek do injection laga ker chali gayi. Na din yaad tha na calender, bas itna yad tha ki do teen bar halki aankhen khuli hospital me dawa li aur phir nind me.

Ek bahut hi bara mazak jo mere sath kismat khel chuki thi use bas mere thik hone tak chhipaya ja raha tha. Us ek hospital ki yadast ke baad jab main hosh me aayi to apne ghar me thi. Maine hosh me jab charo ore dekha to pata chala ye mera ghar hai.

Bahar hall me kai log baithe the, main apne aas-pas bas do logon ki lalsa lagaye najren idhar udhar daura rahi thi, ek mere jaan Rahul aur dushra humara jaan humara bacha. Per dono me se koi bhi najar nahi aaya.

Maine phir awaz lagayi ...... "Jaan ... Jaan" .. Main pura kamjor ho chuki thi, gale se awaz kisi tarah nikal rahi thi. Meri awaz par hall me baithe sabi, Mrinal, Sonal, Aarif bhai, Salma bhabhi, chachi aur chachi sab ander aaye.

"Mera Rahul kanha hai, jaroor apne nanhe ke sath khel rahe honge, ab jara mujhe bhi dikha do mere lal ka chehra" ... Dono ko dekhne ki khusi mere chehre par saf najar aa rahi thi, aur meri baat sun ker sabhi mera muh dekh rahe the.

Main... Aahhhh ! Are dono bua ji aap dono ko badhayi ho, tum dono ne uska chehra dekha...

Mera itna bolna tha ki dono .. "Bhabhi" bol kar rone lagi....

Mrinal.... Bhabhiii .... Bhabhi ... Wo, wo aap ke bacche ko nahi bachaya ja saka..

"Naiiiii .... Naiiiii ..... Naiiiii ... Mrinal, beta ye ganda mazak hai, koi to iss maa ko apne bacche se mila do, Mrina, Sonal ... Dono chup kyon ho, kanha hai mera baccha.

Mrinal meri tarap aur rona dekh ker bardast nahi ker payi aur wo bhi bas roye ja rahi thi. Ander har koi meri tarap ko mehsus kar raha tha, sabke aankhon me aanshu the.

Sonal.... Bhabhi shant ho jaeye, aap ki haalat abhi thik nahi, Mrinal aapse jhooth nahi kahi.

Main..... Nahi sab aise kyon bol rahi hai, wo nurse to boli thi mera baccha dushre ward me hai, main kuch nahi sun'na chahti. Mujhe tum aab par viswas nahi, Rahul, Rahul ..... Ye bhi na, jaan aap aa kyon nahi rahe ho ... Wo bhi nahi aa rahe ... Tum sab aisa kyon kar rahe ho, mujhe mat tarpao aur,.., jannnnn

Mrinal chillati huyi ... Bhabhi ... Ab bas ! Shant hoker suno, suno ki kya hua tha .. Bas ab ek sabd nahi .... Bah rahe the aanshu, siskiyon ki sansen thi aur ek kahani shuru huyi mere zism se ruh juda hone ki.....

"Bhaiyya ki halat kisi pagal se kam nahi thi, jab humne unhe hospital me dekha. Strecher per aap behosh leti thi aur pet me kanch ka tukra ghusa tha. Bhaiya paglon ki tarah idhar udhar kar rahe the, deewali ka din tha hospital me dr aur staff ki kami thi, aur jo bhi the wo kuch sun'ne ko taiyar nahi tne"

"Bhaiya ro rahe the lar rahe the, tabhi ek dr aaya, aap ki haalat dekh ker turant aap ko opretion theater me lekar gaya aur bhaiyya se patient decleration form bharne ke liye kaha. Unka hanth Kanp aise rahe the ki wo likh hi nahi pa rahe the"

"Humne wo form bhare, aur wanhi intzar karne lage, aadhe ghante baad wo dr bahar aaya aur bhaiya se kahne laga......

"Pet me kanch katukra kaise laga"

"Paun fislne se gir gayi aur .. Aur .. Ye sab. Dr kuch kijiye jaldi, dekha nahi kaise tarap rahi thi meri Pari"

"Dekhiye ye police case hai, aur patient ki haalat bahut hi kharab, uske pet me kanch ghusne se bachha pet ke ander hi mar gaya hai, aur operation me jara bhi der huyi to kuch kah pana muskil hai"

"Bhaiya ne jab dr ko aisa kahte sune to jaise mar hi gaye ho, bilkul ghutno par gir gaye, mera baccha marr gaya ....... Fir dr ke paun pakrte huye kahne lage .. "Sir aap yanha kya ker rahe hain, aap ko jo karna ho kijiye lekin please use thik kijiye"

"Dr.... Dekhiye maine abhi phone ker diya hai, kuch hi der me dr ki team pahunchti hi hogi, tabtak ₹2.50 lac rupye jama karwa dijiye, aur police ko apna statement de dijiye'ga"

"Dr ki baat sunkar bhaiya chhtpata uthe. Kise nahi unhone contact kiya, par samay aisa tha ki kisi ne madad nahi ki unki. Aarif bhai aur chachu pahle se hi khud karz me the. Aap ke ghar par ghanti bajti rahi par kisi ne phone tak nahi uthaya, doston ko phone kiye, par kisi ke pas itne paise nahi the. Kisi hare hue ki tarah khud ko man kar bas baith ker phone lagate rahe."

"Hum bas apni vibasta par rote rahe. Bhaiya ko paise ke liye joojh'te dekh Sonal apne ghar phone lagayi aur aunty se sari baat kahi, phone per hi kahne lagi "maa koi milta hai to ghar abhi bech do, ₹2:50 lac me hi bech do par paise le ker jaldi se aao"

Bhaiya ko pata nahi kya hua unhone phone lekar aunty ko mana ker diya aur bole ho gaya hai paison ka intzam aap rahne dijiye.

Bhaiya ne phir papa ko call lagya ..

"Papa mujhe ₹2:50 lac rupye chahiye abhi, aap jo bologe karoonga per is waqt mujhe ye paise chahiye"

Fir papa ne wo baat kah di jise nahi kahna tha ..... "Sab to tumhara hi hai, poora le lo lekin jisne hume jalil kiya use chhor ker aana parega. Sun rahe ho na, jis ladki ne tumhe humse dur kiya use chhorna padega"

Papa ko sari baten maloom thi, bawjood iske unhone ye shart rakha, kuch pal shant rahe, fir apna hi sir diwar par patkne lage, unhone phir ek aakhri bar baat ki ... "Thik hai jaisa aap chahte hain waisa hi hoga ... Opretion khatam hote hi main waisa hi karoonga jaisa aap ne kaha hai"

Dil patthar ka tha papa ka, jisne daya nahi dikhayi , aur bhaiya ko aise waqt me majboor kiya janha dusre bhi dilasa dete hai aur madad ker dete hain. Bhaiya toot gaye poora aur bas shant baith gaye.

Sab kuch hua, police aayi bayan darj kiya, unhe sara mamla sahi laga isliye unhone phir aap ka statement nahi liya aur na hi koi report darj ki. Papa ne paise bhi jama karwa diye. Dr ne apna kam ker diya tha, aap ko koi khatra nahi tha, lekin bachedani me kanch lagne se phir kabhi aap maa nahi ban payengi aisa unka kahna tha.

Mom-Dad dono aaye the bhaiya ko le jane, unhe to bas bhaiya wapas chahiye tha.... Papa bhaiya ko baat yaad dilate huye kahe .... "Betu sab ho gaya, ab tumhari bari hai"

"Haan papa ab meri bari hai, ab meri bari hai Pari ko chhorne ki, apne jaan ko chhorne ki. Main bas kuch apni bahno ko kahna chahta hoon."

Hum dono ko wanha se dur le gaye humare sir ko chuma, rote rahe aur bas itna kah gaye....

"Aaj bharosa uth gaya, main inke chehre dekh ker nahi ji sakta. Beta tum dono apna aur apni bhabhi ka khyal rakhna"

"Lekin bhaya aap ye aisa...."

"Shiiiiiiiiiiiii ! Bol mat sirf sun, main humesa tum sab ke pas rahoonga, jab teri bhabhi thik ho jay to poori baat batana, main janta hun uske dil ki baat abhi se, bas tu ye letter use de dena. Baat chhorne ki hi hai to main sab ko chhor raha hun"


Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina
Safar yeh tera, yeh raasta tera
Tujhe jeena hai.. mere bina

Ho teri saari shoharatein
Hai yeh duaa..
Tujhi pe saari rehamatein
Hai yeh duaa..
Tujhe jeena hai mere bina
Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina
Post Reply