Pyaar Gam Ya Khushi complete

Post Reply
aakashwani007
Novice User
Posts: 219
Joined: 12 Mar 2018 16:11

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by aakashwani007 »

Update :- 167



"Shiiiiiiiiiiiii ! Bol mat sirf sun, main humesa tum sab ke pas rahoonga, jab teri bhabhi thik ho jay to poori baat batana, main janta hun uske dil ki baat abhi se, bas tu ye letter use de dena. Baat chhorne ki hi hai to main sab ko chhor raha hun"

"Murker nahi dekha kitna bhi pukarte rahe. Sayad jo bhi kiya wo sahi tha, bas ye aap ki amanat hai, aap ke liye bhaiya ka ye paigam"......

Mrinal rote huye batati gayi, main kisi murti ki tarah apne jaan ke dard ko mehsus karti rahi, aankhon se anshu bahte rahe aur ander se chikh-chikh ker ye awaz aati rahi .... "Main hi kyon nahi mar gayi. Kanpte hathon ne phir wo chitthi kholi ....


Meri dharkan, meri jaan Pari .....

Jab tum ye padh rahi hogi main kanhi dur rahoonga thik waise jaise main fauz me tha. Mujhe pata hai abhi tumhare dimag me kya chal raha hai, par aaj main janha bhi hun tumhare liye hun. Aanshu pochho pahle tum, tumhe meri kasam hai.

Suno Pari tum kuch bhi aisa nahi karogi jis se mujhe itna sab kuch karne ka afsos ho. Haan ! Tumhe main un sab se azad karta hun jisne hume rulaya hai, jisne hume alag kiya hai. Wo tumhari marzi tumhe kya karna hai.

Bas ek baat yaad rakhna hum kabhi na kabhi milenge, aur main tum se waisa hi milna chahunga jaisa main tumhe dekhna chahta hun.

Kusah rahne ki kosis karna, aur kisi baat ki chinta mat karna main hamesa tumhare sath rahunga. Thoda apna aur thoda Mrinal aur Sonal ka khayal rakhna. Apne jaan par aur apne pyar par viswas rakhna hum jaroor milenge.

Bas kuch dard aur tumhara pyar samete ja raha hun.

Rahul




_______________________________________________________________________________________________



"Hammmm ! Itne dard, kya upar wale ko jara bhi raham na aayi, kya aapne phir kabhi kosis nahi ki Rahul sir se milne ki. Kya aap dono ke gharo se koi nahi aaye itne dino me" ... Riti Rahul aur Pari ke dard ko mahsus ker puchhti cahli gayi ...

Pari..... Waqt ne sabhi ko apne kiye ka ehssas dilaya. Papa uss ghatna ke 10 din baad rote aaye meri haalat dekh ker, to mummy ji, papa ji do sal baad. Mere dil me ab na to nafrat thi unke liye aur nahi pyar ... Itna ho jane ke baad maine bhi mana ker diya unke sath wapas jane se. Jab jaan hi nahi hai mere pas to main kanhi bhi rahun kya fark parta hai.

Riti.... Phir didi ye ghar aur ye dono Piya aur Mahi

Pari.... Unhone kaha tha mujhe kisi baat ki fikr karne ki jaroorat nahi. Dekho unhone jo kaha wo sach ker diya. Pas ho ya dur apni jimmedari puri karte rahe. Sayad hume sab bhul gaye hamare gujre waqt me par jaan apni jimmedariyon ko kabhi nahi bhule. Main to un ka hona har pal mehsus karti hun. Sayad riston se dil toot gaya hai unka isliye ab samna nahi karna chahte.

"Ye sab mere jaan ka hai, mere pas ek din ek aadmi pahuncha, mujh se kuch paper sign karwaye aur meri acc detail liye, uske baad se main amir ho gayi, yahi wo paisa tha jisne hume rulaya ... Jiski sharton par hame juda hona para, aaj itne hai ki dusron ko bas hansati rahti hun"

"Piya aur Mahi to mere bacche hain. Main is baat ka khud se bhi jikr nahi karti ki ye mere pas kaise hain, bas itna jan lo ki ye dono mere jigar ke tukre hain, hamara pariwar."

Ek dard ki dastan bayan ki thi Pari aur Rahul ne, aanshu tab bhi inke aankhon me the aanshu ab bhi inki aankhon me the. Piya aur Mahi upar se khelte huye niche aa gaye, jab usne apni mamma ko rote dekha to dono Pari ke dayen bayen khare ho gaye aur apne hanton se aanshu pochhte huye....

Piya .... Mamma aap ko punishment kisne diye jo aap ro rahi hain.. Batao na mamma, mujhe bhi rona aa raha hai..

Mahi... Piya mamma hum se naraj hokar ro rahi hain, mat ro mamma aap jaisa kahengi hum waisa hi karenge. Promise mamma.

Pari.... Areee mera bahadur baccha kyon rone laga, dekho yanha uncle, aunty sab hain, kya sochenge ki Mahi aur Piya bacchon ki tarah rote hain...

Kaphi tikhe swar me bol para Mahi .... Main nahi mamma wo Piya ro rahi hai, main to aap ka bahdur beta hun na.

Piya bhi pichhe kanha rahti.... Uuuuuu ! Mamma abhi hi to ro raha tha na, dekha isne phir jhoot bola

Mahi.... Mamma bata do Piya ko bacche jhooth nahi bolte ...

Piya ..... Jhoota, jhootha, Mahi jhoota..

Pari apne dard me dubi un aakhon ko apne bacchon ke liye pochhti huyi bol par.......

Bas, bas baba ho gaya, tum dono hi nahi ro rahe the. Dekho bahar garden me dono jakar khelo main abhi inse baat kar rahi hun. "Thik hai mamma" kahte dono bhage garden me khelne ke liye....

Anjali.... Pari di, kaise aap khud ko sambhale huye hain.......

Pari gum bas gungunane lagi........


Saath Mere Hain Tu Har Pal Shab Ke Andhere Mein
Paas Mere Hain Tu Hardam Ujale Savere Mein
Dil Se Dhadkan Bhula Dena Aasan Nahi Hai
Ab Toh Aadat Si Hai Mujhko Aaise Jeene Mein
Juda Hoke Bhi Tu Mujhmein Kahi Baaki Hai
Palkon Mein Banke Aansu Tu Chali Aati Hai

Ek lambi si sans ander leti Pari ne apne aankhen mund li, jo anshu chehre par tha use saaf karti huyi thodi muskurayi .... Aur apne khile huye chehre par ek muskan lati huyi kahne lagi ...

"Yahi to jindgi hai, aaj kayi dino baad wo jakhm yaad aa gaye. Todi si khusiyan aur dher sare gum, phir bhi khusiyan unhi gum me dhoond hi lete hain. Bas khili si rahti hun, pata nahi abhi jaan mere pas aa jayen aur kahne lage "Pari ye kya haal bana rakha hai" to unko main kya jabaw dungi."

Aishi baten sun hum ander se ro pare. Ek pyar ki adhuri dastan, do pyar me dube asshikon ka ye anjaam, ruh kanp gayi thi hum teeno ki. Wanha rukna hame gawara nahi hua, Pari di ka chehra dekh pane hi himmat nahi juta pa rahe the. Hume dard me khila wo chehra ab bhi rula raha tha, aatma se ek hi awaz aa rahi thi ..... "Kyon dard hi mile iss pyar me, kya iss pyar ka anth itna bhayawan hona tha"

Gumsum apne aanshuon ke sath hum nikal gaye us ghar se. Har kaha unka lamha aisa laga jaise hamne jiya ho. Har dard ki dastan jo bayan ki gayi thi aisa laga jaise hum mehsus kar rahe ho. Hemant sir ke pas jab hum pahunche to hum bilkul shant the.

Hemant sir hume dekhte hi samajh chuke the ki hamare sare doubt clear ho chuke hain, unhone kuch nahi puchha hum chup-chap wanha se wapas laut gaye. Unki khani hume til-til trapa rahi thi. Dono se hum mile, dono ka humne dard dekha .... Bas dono kyon sath nahi, itna rah gaya.

Dastan sun'ne ke baad dil me hazar sawal the, "jab sabko apne kiye per pachtawa tha to kyon nahi wo bhi Pari aur Rahul ki tarah sabko ek sath lane ki kosis karne me jute rahe, jabki Pari ki juban to in logon ki tarah gandi bhi nahi thi. Itne sal bit gaye, technology kitni viksit hai kya news ya tv ad nahi de sakte the.

Wajah jo bhi ho, lekin inke pariwar ne hi dono ko dard diye aur sab kuch pata hone ke baad bhi kabhi kosis na ki, galatfehmi ki bhent chadhi do pyar bhare dil. Kya yahi anth tha unke mukaddar me ya ek sukhi sansar ho sakti thi yadi kosis ki jati.

Kyon main wanha ghumne gayi, kyon dono ka chehra meri najron ke samne hi ghumte rahta hai, kyon me khud ko unke dard se alag nahi kar pa rahi hun. Kyon ab bhi iss baat par ro rahi hun ki dono ne pyar nibhaya, phir bhi bichharne ka dard jhelna pada.

Aisa lag raha hai jaise main ji rahi hun unki jagah, jab main itna dard mehsus kar rahi hun, to kya bit'ti hogi unpar jinhone ye sab pal pal apne sath mehsus kiya.


Dil me kasak si rah gayi ...... Itna pyar aur aisa sila ...........
aakashwani007
Novice User
Posts: 219
Joined: 12 Mar 2018 16:11

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by aakashwani007 »

Update:-168


Mujhse hi aaj mujhko mila de
Dekhoon aadaton mein, tu hai ki nahi
Har saans se pooch ke bataa de
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi

Main aas-paas tere aur mere paas..
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi...

Daudte hain khwaab jinpe rasta woh tu lage
Neend se jo aankh ka hai waasta woh tu lage
Tu badalta waqt koi khushnuma sa pal mera
Tu woh lamha jo na thehre aane waala kal mera

Main aas-paas tere aur mere paas..
Tu hai ki nahin
Tu hai ki nahin
Tu hai ke nahin
Tu hai ki nahin...

In labon pe jo hansi hai inki tu hi hai wajah
Bin tere me kuch nahi hun mera hona bewajah
Dhoop teri na pade to dhundhla sa main lagun
Aake saanse de mujhe tu taaki zinda me rahun
Main aas-paas tere aur mere paas...

Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi.

Tringg ... Tringgg .... Tringggg

Ufffff ! Chain se gana bhi nahi sun'ne doge kya ... Ab itni raat gaye kiska phone aaya. Duffer Anjali khyalon se bahar aao, phone uthao...

"Hello, kaun bol raha hai"

"Kya, main Anjali se baat ker rahi hoon"

"Haan, Anjali hi bol rahi hun. Ab please itni raat me koi offer nahi batane lagiye'ga. Main waise hi abhi out of mind chal rahi hun"

"Main Alisa bol rahi hun, Rahul ki bari bahan"

"Ohhhh ! Sorry, wo kya hai aaj kal mobile per offers kaphi aate hain, aaj subah se padesan kiye hai, isliye thoda ukhri thi. Waise aap ne kyon phone kiya"

"Kya aap apna address de sakti ho, hame aap se milna hai"

"Aree kamal hai, jis se aap ko milna chahiye us se duriyon me rahe, aur jo ajnabee hai unse milne ki itni tarap"

"Dekhiye kya aap apna adress de sakti hain please, main aap se madad ki bhikh mangti hun. Please na mat karo ... Kya aur kyon hum milkar bhi baten ker sakte hain"

"Dekhiye I am really sorry, main aap ko hurt nahi karna chahti thi, please aap roeye mat, note kijiye mera address"

Anjali ne Alisa ko adress note karwa ker call cut ki, aur gehri sans leti huyi tik ker apne sofe per baith gayi ..... "Pata nahi in sab ko kya ho gaya, ye kaun sa rog le liya Anjali, sare phansne wale kam tuj se hi kyon takrate hain. Main uljhi hoon aur wo chain se soyegi, aakhir usi ka bharosa tha jo main ye dard mehsus ker rahi hun, beta ab tu bhi jag.....

Anjali yahi sab sochti huyi Riti ko call laga di.....

Riti .... Ae pagal tu chain se sone nahi degi kya

Anjali ..... Tu so rahi hai kamini, meri nind ura ker

Riti ...... Ab tujhe kya ho gaya, itni raat ko kyon bharki hai

Anjali..... Bharkun nahi to aur kya aarti utarun, main to bhul gayi thi ki Nainital trip par kya hua tha, ye tu thi jise viswas tha ki Rahul ke kahani ka ye anth nahi ho sakta, tere bharose khak khangali, pata dhoondi, aur jab sab pata chala to, ab mujhe bilkul bhi chain nahi"

Riti..... Soooo Sorry yaar, tumhari sari baten sahi hain, dukh to mujhe bhi hai, unke bare me jankar afsos mujhe bhi ho raha hai, teri tarah nind meri bhi uri hai, lekin ab kya kar sakte hain

Anjali....... Waise Riti kar to hum bahut kuch sakte hain, jaise Rahul ka pata humare pas hai, hum Pari ko Rahul ke pas chalne ke liye bol sakte hain, ya Rahul ke pas jakar usse Pari ke pas chalne ke liye majboor kar sakte hain.

Riti...... Kya baat hai, to neki aur puchh-puchh, waise bhi humare pas us dr ka diya bahut paisa bacha hai, lekin yaar uuse paise lekar ye kam kerna ab achha nahi lag raha, kyon na hum unke paise lata de.

Anjali...... Hammm ! Sach kahi, mujhe bhi khatkta hai yaar, teen dina ho gaye, lekin aisa lagta hai Chandigarh me baithi hun, aur Pari di ki baton me kho si gayi hun. Achha sun tujhe yaad hai inki bari bahan Alisa...

Riti..... Nam mat le uska, ussi pagal ka racha hai sab kuch ye, wo yadi thoda sa dharya rakhti aur Pari di se pahle puchh leti ki unke atit ke sath kya ghatna huyi thi, to sayad ye din hi na hote, aur hum bhi chain se so rahe hote.

Anjali.... Achha, pagal hai tu, phir mere marne ka sok mana rahi hoti, jab Nanital me phansi thi to Rahul sir ne meri jaan bachayi thi.

Riti..... Ab sir kahe ke, Rahul jiju bol, chal rakhti hun phone subah baat karte hain

Anjali..... O' duffer, sun to baton me uljha ker mudde se hi bhatka di.

Riti.... Chup ker, main to uljhi pahle se hun, tu hi sulji thi to pahle mudde ki baat kyon nahi ki, chal ab muh phar jaldi se, nahi to nindiya rani mere sar par mandra rahi hai.

Anjali..... Sun, wo Alisa di kal sayad yanha aa rahi hai

Riti... Kya ????? Kab baat huyi teri

Anjali.... Haan Alisa aa rahi hain, ja ab so ja ho gayi baat puri... Ja bula le ab apni niny rani ko.

Riti..... Haushhh ! Chal kal ka bhi rona dhona tay hai, milti hun sok sabha me.

Anjali..... Ha ha ha, chal so ja, aur haan apne us ullu ko bhi le aana.

Bilkul subah 6am baje Riti ke ghar ki ghanti lagatar bajne lagi, subah ki gehri nind se aankhen minjte aur badbrate huye Riti uathi..... Khoon kar dungi main, kaun pagal subah-subah itni jaldi jaldi bell baja raha hai.

"Kaun hai, pagal kyon ho rahe ho"

Riti bade gusse ke sath apne kapre thik karti huyi uthi, aur jaise hi darwaja kholi to uski aankhen bilkul bari ho gayi, aschrya se wo bas dekhti hi rahi.

"Sorry subah-subah humne aap ko distrub kiya, main hun Alisa aur ye hai mera pura pariwar"

Riti ne jab itne sare log ek sath dekhe to awak hi rah gayi.... Khud me badbadati huyi boli... "Ye pagal hai kya, ek to pura khandan lekar chali aayi, upar se phone isne Anjali ko ki aur subah-subah pahunchi meri ghar"

Alisa.... Kuch kaha kya aap ne

Riti.... Are nahi main bas soch rahi thi ki aap sab ko raat me hi aa jana chahiye tha, lekin aap sab subah pahunche isliye thoda ascharya lag raha tha.

Alisa.... Sorry aap ko intzar karna para, hum sab to 1am baje subah hi lucknow pahunche, yadi phone par bata deti aap ki humara intzar ker rahi hain to hum rat me hi aa jate.

Riti apna sir khujaye bina nahi rah saki ... Haynnn ! Pagal log hai kya .. Poori family hi pagal najar aati hain.

Alisa.... Mom lagta hai jab se betu se mil ker aayi hai Anjali, ise bhi khyalon me gum hone ki aadat lag gayi hai.

Riti.... Are Alisa di main Anjali nahi Riti hun, Anjali ki dost

Alisa.... Kya ????? Par humari baat to Anjali se huyi thi.

Riti bole to kya bole.... Kuch nahi wo usko ek ajib sik bimari lagi hai nind me chalne ki, to jab bhi soti hai to uske makan malik uske gate per bahar se tala laga dete hain, taki wo bahar na nikal sake, isliye wo sochi ho ki sayad aap raat me aaye aur tala dekh ker kanhi ye na soche ki hume bula ker khud kanhi chali gayi, isliye mera address de di. Aaeye na ander, aap sab bahar kyon khare hain.

"Banki us pagal ko to abhi subah-subah hi batati hun"

Alisa... Phir aap kanha gum ho gayi

Riti... Kuch nahi aap sab baithiye, main Anjali ko lekar aati hun.

Alisa... Are use phone ker dijiye na, wo aa jayegi. Hume kuch jaroori baat karni hai.

Riti.... Nahi nahi, aap samjhi nahi, abhi bataya tha na bimari, to wo itni gahri nind me hoti hai ki usse jab apna chalna yaad nahi rahta to phone ki ring kanha se sunegi, aur waise bhi pahli bar aaye hain aap sab to thoda chay nasta, itna to sewa ka mauka dijiye.

Alisa.... Thik hai, lekin jaldi aaeye'ga.

Chidhi huyi Riti apne night gawn me hi bade gusse me scooty se nikli, aur sidhe jakar Anjali ke ghar ruki .... "Anjaliiiiiiiiii, jaldi darwaja khol pagal...

Anjali bhi thik waisa hi reaction deti huyi uthi jaisa Riti ne thodi der pahle diya tha, aankhen mijti wo bhi gusse me darwaja kholi.... Duffer, daura chadha kya tujhe jo subah subah chilla rahi hai.

Riti..... Tu muh band ker le apna nahi to mujh se bura koi na hoga.

Anjali.... Lekin baat kya hai, Ujjawal chhor ke kanhi bhag to nahi gaya jo subah subha baukhlayi huyi hai.

Riti..... Ji nahi, aap ke kayi ristedar mere pate per pahunche hain wo bhi subah subah

Anjali.... Hoooo ! Tujhe daure bhi parne lage, kaun se mere ristedar, koi bhi to nahi aane wala tha.

Riti..... Achha aur kal tune kise mere ghar ka pata di thi, koi Alisa nam bheje me hai ya sir phor ker bahar nikalu..

Anjali ..... Kya ??? Alisa, itti subah .. Pahunch bhi gayi .. Ha ha ha ha

Riti.... Hans mat pagal, anhhhhh ! Ji to ker raha hai sar phod dun tera.

Anjali...... Ha ha ha, sorry hansi ruk nahi rahi, sab wo bhi itni subah ... Ruk main change ker ke aayi.

Riti.... Sun mujhe bhi change karna hai, gusse me main bhi yahi pahan ker chali aayi, din nikalne laga hai achha nahi lagta in kapron me wapas jana.

Anjali... Kitni sexy to dikh rahi hai...

Riti... Mazak sujh raha hai tujhe ...

Anjali.... Ok sorry, ab chal na, ya tu kahe to tere liye yanhi kapre bhej dun..

Anjali aur Riti ne jaldi se apne kapre change kiye, Riti laut'te samay market se dudh aur kuch snax leti huyi lauti. Dono ne sabke liye chay aur naste ka intzam kiya aur sabke pas aakar baith gayi.

Pahle to dono poore pariwar se mili aapas me parichay hua, dono pariwar yani chauhan & family aur Sinha and faimily ke sare log maujud the.

Parichay hone ke baad to jaise wanha shanti si chha gayi ho, jaise sab log baat shuru karne ke liye sabd dhoond rahe ho. Sabke chehre per kayi sawal najar aa rahe the lekin pahal karne ki kisi ki himmat na ho rahi ho.
User avatar
rajsharma
Super member
Posts: 15886
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: Pyaar Gam Ya Khushi

Post by rajsharma »

बहुत ही शानदार अपडेट है दोस्त

😠 😱 😘

😡 😡 😡 😡 😡 😡
Read my all running stories

(शिद्द्त - सफ़र प्यार का ) ......(प्यार का अहसास ) ......(वापसी : गुलशन नंदा) ......(विधवा माँ के अनौखे लाल) ......(हसीनों का मेला वासना का रेला ) ......(ये प्यास है कि बुझती ही नही ) ...... (Thriller एक ही अंजाम ) ......(फरेब ) ......(लव स्टोरी / राजवंश running) ...... (दस जनवरी की रात ) ...... ( गदरायी लड़कियाँ Running)...... (ओह माय फ़किंग गॉड running) ...... (कुमकुम complete)......


साधू सा आलाप कर लेता हूँ ,
मंदिर जाकर जाप भी कर लेता हूँ ..
मानव से देव ना बन जाऊं कहीं,,,,
बस यही सोचकर थोडा सा पाप भी कर लेता हूँ
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- raj sharma
Post Reply